Aaj dhal toh rahi hu...
nahi janti kab lautungi main...
shayad suraj ki pehli kiran
ya baarish ki bund ban barsungi main...
tapti jameen ki aah ban
ya saundhi si khushbu ban hawaa mein ghul jaungi main....
shayad kisi din tumhari cigarette ka dhua ban
pal bhar tumhari sanson mein bas kar...
phir is hawa mein kho jaongi main.....
Aaj dhal toh rahi hu...
nahi janti kab lautungi main...
tumhari aarzu ki tapish mein jal
yu hi dhuan ban mit jaongi main...
naa yeh jism naa meri yaad
naa meri shayari naa mera pyaar...
kuch jinda nahi rahega
lekin tumhari tamanna mein jalti ruh...
tumhi se mil kar phir janmungi main....
Aaj dhal toh rahi hu...
nahi janti kab lautungi main...
apni buniyaad khokar
tumhari pehchaan khoj laongi main...
apni kamiyabi ko tumhe saup
nakamiyaabi ke andhere mein kho jaungi main...
naa jaane kis libaaz mein
takdeer dhalegi mujhko....
par sitaron se lad
tumhari hi taraf har rukh mod lungi main....
Aaj dhal toh rahi hu...
nahi janti kab lautungi main...
No comments:
Post a Comment